Kuran Hai Hamara ,Geeta Hai Tumhara
Hindu Na Koi Muslim,Hindosta Hi Pyara
Mandir Bana Ya Masjid,Girja Bhi Bara Pyara
Sab Bharti Dulare Kah Do Chaman Hamara!!
Allah Kaho Ya Iswar,Jis Naam Se Pukara
Wah Ek Hi Khuda Hai, Jag-Jib Ka Sahara
Wah Marta –Gilata,Dukh Deke Bhi Hansata
Kartabya Prem Palan,Har Jib Ko Sikhata!!
Karni Ho Jiski Jaisi, Waisi Hi De Bidhata
Sukh-Dukh Hai Do Kinare,Jiban Nadi Batata!!
Dharmendra Kr. Sarma